Visitors: 0

Sidha Sidha kuch nahi hota hai

Sidha Sidha kuch nahi hota hai jeevan mai,

Kal mai bageeche mai gaya, aur maine dur se ek tree pr fal dekha.

Fal ko dekha meri aankho ne, Lekin lalach jaga Man me.

Ab Man toh tree ki aur ja nahi sakta, toh gaye waha pr mere pair.

Ab pair toh Fal ko todh nahi sakte hai. 

Toh todha mere haatho ne.

Ab Haath fal ko kha nahi sakte hai, toh khaya mere muh ne. 

Ab muh fal ko rakh nahi sakta hai toh rakha mere tummy ne.

Aur ye sab hote hue dekha Mali ne.

Mali ko aaya gussa, aur usne danda maara meri peeth pe. Jb ki peeth ka is kaand se koi lena dena nahi tha.

Danda mara peeth pe, aur aansu aaye aankh se, kyunki shurwat mai aankh ne dekha tha fal ko.

It's a circle.

Topics


Jammu & Kashmir - History, Culture & Traditions | J&K Current Trends | Social Network | Health | Lifestyle | Human Resources | Analytics | Cosmetics | Cosmetology | Forms | Jobs



Quote of the Day


"Time Flies Over, but Leaves its Shadows Behind"